Saturday, 31 March 2012

"EK NAYI SUBAH HONE KO AAYI"

Mausam Ne Lee Angdayi,
Paudhon Ne Apni Hari Anchal Lehrayi,
Panchiyon Ne Niley Gagan Ko Jab Galey Lagaayi,
Ek Nayi Subah Hone Ko Aayi...

Aasmaan Ne Moti Hai Barsayi,
Kheton Me Hariyali Hai Chaayi,
Khushi Se Har Aankh Namm Ho Aayi,
Murjhaayi Huyi Adhar Bhi Jab Muskaayi,
Dekho...................
Ek Nayi Subah Hone Ko Aayi...

Friday, 30 March 2012

ACHCHHA LAGTA HAI

Achchha Lagta Hai Humey Aasman Me Bikhre Taarey Ginna,
Palke Mundney Ke Baad Tum Milo Na Milo,
Achccha Lagta Hai Humey Tumse Khwabon Me Milna...

TERA INTAZAAR

Tere Intazaar Me Ghadi Ka Kaanta Jaise Rukk Sa Gaya,
Palkon Se Beh Rahi Nadiyaan Bhi Jaise Suukh Hi Gaya...
Chaahatt Thi Bepanah Lekin Rab Toh Rooth Hi Gaya,
Dil Toh Mere Bhi Tha Kaanch Ka, Toot Hi Gaya....

ISHQ KA MARIZ HAI

Ishq Ka Mariz Hai, Dil Kya Cheez Hai !!!
Iss Rog Ka Ilaaj Na Kar Paya Koi, Chahe Ho Dawa Ya Taawiz Hai...

KABHI YE DIL KARE

Kabhi Dil Kare
Suraj Ki Garmi Ko Mehsus Karu,
Behti Hawa Ko Baahon Me Samett Lu,
Behti Nadi Ke Saath Machalkar Beh Chalu...
Kabhi Dil Kare Panchiyon Sang Aasmaan Me Udd Chalu,
Phool Bann Har Baag Me Khusboo Bikherti Phiru,
Ghungru Bann Har Paaun Me Sajkar Nritya Ka Aagaaz Karu.
Ye Dil Kare Kabhi,
Kabhi Ye Dil Kare,
Mai Ye Zindagi Ko Jeelu,
Duniya Ki Saari Khushi Amrit Banaa Peelu....

Wednesday, 28 March 2012

TALAASH

Akeli Bhatakti Thi Raahon Me,
Unn Chawrahon Me,
Kabhi Chalti Mai Suni Galiyon Me,
Dhup Me Chhaon Me.. 

Aankhon Me Meri Nami Thi,
Lekin Dil Me Thi Ek Aash,
Jiss Makaam Ko Paane Ki Chaah Thi,
Shayad Puri Ho Jaye Wo Talaash....

Tuesday, 27 March 2012

SAPNA

Ek sapna tha wo accha sa,
kuch kachcha sa kuch sachcha sa.....
Sapna jo chhu gaya mann ko,
lag gaya hai mere aankhon ko.....


Ek jaaduyi sansmriti tha wo,
jisne milwai kalpana aur hakiqat ko....
Vichitra duniya ka manoramm drishya se,
mohit, aakarshitt, mantra mugdha huwa mera chitta hai....

"Whatever I love, is mine always...
Whatever is mine, I love always.."

Monday, 26 March 2012

KRANTI

Diye ki roshni se agar
andhiyare ka na jaye darr
toh aa chal kranti karr
suraj bann tay karr safar
aa chal kranti karr...

Do boond paani se agar
pyaas na bujhe chahatt ki
toh aa chal kranti karr
leher bann tay karr safar
aa chal kranti karr....

Khud ki saanso se agar
ghutan sa mehsus ho kabhi
toh aa chal kranti karr
aandhi bann tay karr safar
aa chal kranti karr...
aa chal kranti karr....

Friday, 23 March 2012

TERI MUSKURAHATT...

Teri Muskurahatt Se Lage Jaise Sitare Jhilmilane Lage Aasmaan Me....
Phool Ne Bikheri Khusboo Hai Jaise Baag Me...

Palke Bandh Kar Jab Bhi Tera Muskurahatt Yaad Karu,
Lage Jaise Thandi Hawa mere Badan Ko Chhu Jaye..
Mere Angg Me Tere Muskurahatt Ki Kushboo Same Jaye...

Sangeet Ki Sumadhur Sargam Hai Teri Muskurahatt...
Tere Muskurahatt Se Milti Mere Rooh Ko Sukun Aur Palko Ko Rahat...
Teri Muskurahatt...
Teri Muskurahatt ..... 

Thursday, 22 March 2012

Chaand sa chehra

Chaand sa chehra udaasi bhara,
Naina bayaan kar rahi thi dil ka dard uska,
honth toh sirf chal rahi thi uski,
jaan hokar bhi jaan na tha usme jaraa....


Leher utth rahi thi uske dil me,
fir v sambhalna usse aata tha,
aag tha uske khoon me,
fir v shitalta dikhana usse aata tha.....


Raat ke andhere me toh ghutti hoon mai v,
par wo toh ghutt rahi thi din ke ujaalo me,
kadmo pe bikhri khusi ko thukrakar,
shayad na chahte huye usne gamm ko gale lagaya......

MERI ZINDAGI

Meri Zindagi Me Tum Aaye,
Aur Meri Zindagi Bann Gaye,
Aaye Tum Khuli Hawa Ke Tarah,
Balkhati Huyi Bahar Ki Tarah,
Aur Meri Zindagi Bann Gaye...
Aaye Tum Jharti Baarish Ki Tarah,
Shayad Pattjhad Ki Tarah,
Aur Meri Zindagi Bann Gaye,
Aaye Tum Suraj Ke Kiran Ki Tarah,
Chanda Ki Chandni Ki Tarah,
Aur Meri Zindagi Bann Gaye..
Kuch Khone Ki Gaam Ki Tarah,
Kuch Hone Ki Khush Ki Tarah,
Kuch Paane Ki Chahatt Ki Tarah,
Hohtho Pe Muskurahatt Ki Tarah,
Ankhoon me Aashu Ki Tarah,
Ek Autt Rishte Ki Tarah,
Kathinai Me Saralta Ki Tarah,
Diya Me Baat Ki Tarah,
Sharir Me Praan Ki Tarah,
Ayney Me Darpan Ki Tarah,
Meri Zindagi Tum Aaye,
Aur Meri Zindagi Bann Gaye....

“Khali Khali Sa Din, Suni Suni Ye Raat...”

Khali Khali Sa Din, Suni Suni Ye Raat...
Kuch Toh Kami Hai, Aankhon Me Nami Hai...
Rutha Rutha Sa Din, Khafa Khafa Ye Raat...
Aag Jo Lagi Hai, Kudrat Ne Ki Kitni Berehmi Hai...
Kambakht!... Dil Ko Bhi, Uss Bewafa Pe Aana Tha...
Jiska Kaam Sirf Mera, Dil Ka Katal Karna Tha...
Jalan Se Bhari Din, Tadap Se Bhari Raat...
Dil Ko Samjha Raha Hu, Ek Nayi Ummid Ka Taalash Kar Raha Hu...
Dil Ko Samjha Raha Hu, Ek Nayi Ummid Ka Taalash Kar Raha Hu...
Khali Khali Sa Din, Suni Suni Ye Raat...

“Asar Nahi Mujhpe Dhupki Chooon Ki....”

Khabar Nahi Mujhe Duniya Ki
Asar Nahi Mujhpa Dhup Ki Chaoon Ki
Lagne Lagi Anjani Ye Sahar
Khoyi Me, Khoyi Chaaro Peher
Phuloon Ka Baag Hai Suna, Khusbu Nahi...
Dil Ke Baag Me Khile Sapne Kayi...
Dil Pe Ye Kaise Jor Huwa ?
Hulchul Huwa Aur Phir Shor Huwa..
Ke, Khabar Nahi Mujhe Duniya Ki
Asar Nahi Mujhpe Dhupki Chaoon Ki...


Dekho Dekho Ye Kya Huwa Mujha ?
Kaisa Ye Pagal Dil Ki Pyaas Bujhe ?
Sar Uttha Ke Aasman Ki Taraf Ek Tuk Takti Rahu..
Koi Dekhna Le Mera Ye Hashar, Isiliye Sabse Bhagti Rahu...
Bandh Kamre Me Chupke, Sabse Chupke, Sringaar Karu...
Ke, Khabar Nahi Mujhe Duniya ki...
Asar Nahi Mujhpe Dhupki Chooon Ki....