Saturday 26 May 2012

CHAAND CHHUPA BADAL MEY

Kal purnima hai,
lekin lag raha hai,
chaand aaj se hi khilkhilana chahti hai.
Chaand apni chaandni,
chehek chehek kar har ek kann mey bikher rahi hai.
Shanti, ghor shanti chayi huyi hai.
Pedd-paudhey bhi apni aanchal lehra rahe hai.
Chaand ki chaandni pedd aur paudhon ke aanchal ko chhukar,
aur bhi machal rahi hai,
chamak rahi hai.
Samaa aur bhi hasin ho rahi hai,
kyunki chaand hi nahi,
sitaarey bhi chamak rahe hai ab toh.
Aasman mey halki si badal bhi hai,
jo hawa ki sumadhur weg se sitaron ko apne andar samaa raha hai......
Chaand ki chaandni mere chehre mey bhi bikhri huyi hai.
Pedd paudhey ki aanchal ke leher se,
mere latt mere chehre ko chhukar machal rahi hai,
chamak rahi hai,
jaise chaand ki chaandni chamak rahi hai,
machal rahi hai,
pedd-paudhey ke aanchal ko chhukar.
Yeh jaantey huye ki yahi hakiqat hai,
aisa lag raha hai jaise mai sapne mey hoon....
Aur ab,
sab kuch thamm gaya,
Naahi hawa beh rahi hai,
naahi chaandni dikh rahi hai.
Kyunki, chaand samaa gayi,
chhup gayi badal mey..........

No comments:

Post a Comment