Friday 22 June 2012

CHAHATT

Chahatt hai bepanha,
Hume tumse, tumhe humse..
Zindagi rangin hai hum dono ki,
Tumhari humse, humari tumse...

Zindagi ek Jaisi,
Rehti nahi kabhi,
Mausam ho ya haalaat,
Badall jatey hai sabhi...

Nasib me likha tha wahi,
Humey tumhari zindagi me aana tha,
Nasib ko manjur tha yehi,
Tumhe chhod ek din kahi dur jana tha...

Milna bichhadna toh dastur rahi hai duniya ki,
Milna ek ummid aur bichhadna ek niyam,
Kabhi ek naya rup lekar milengey tumse,
Jara sa rakhna tum sayyam...

Sawan mey baarish ke boond bankar barsengey,
Samett lena humey apni bahon mey,
Intezaar karna humara,
Basant mey phool bankar bikherne aayenge tumhari raahon mey...


No comments:

Post a Comment