Friday 8 June 2012

KYUN BADDLI HAWA SEHER KI !?!

Badall gayi hawa seher ki,
Jaise baddla ho mausam achanak se,
Kya ye wahi hawa hai ??
Jo sunata tha madhur taan !
Jo bikherta tha fijaon mey sumadhur muskaan !
Baaton baaton mey,
Yuhi rutthtey manatey,
Isi seher ki galiyon mey,
Bas yuhi kadam badhatey badhatey,
Badall gaya mausam achanak se !
Hawa ney rukh yun hai moda,
Apni masumiyat ka khayal na raha usse,
Aur khudke chahaney waley ke gharka kaanch usne toda..
Samajh na paya bebas chahney wala,
Ye kaisa insaaf huwa chahat ka !
Ye kya huwa seher ki hawa ko !
Kyun baddli hawa seher ki !?!

No comments:

Post a Comment